Thursday 24 March 2011

SAEEM SHAH

Main umar kay raste main chup chaap bikhar jata
Aik din bhi agar apni tanhaiyoon se darr jata

Main tarq-e-talluq per zinda hoon so mujrim hoon
Kash uske liye jeeta apne liye mar jata

Main shehar ki ronaq main ghum ho kar bohut khush tha
Aik shaam bach'aa leta, Aik roz tu ghar jata

Kal samne thi manzil, peeche meri awazein
Chalta tu bicchar jata, Rukta tu safar jata

Uss jaan-e-takallum ko tum mujh se tu milwatey
Taskheerna kar'pata, hairan tu kar jata

5 comments:

  1. " Us k honton py honton k nishan chor aya hoon,
    us ne maangi thi mohabbat ki nishani mjh sy,
    so me apny qadmo k akhri nishan chor aya houn,
    log puchen gy us sy ab hamaray baray me,
    me us ke chehray py apni nazar chor aya hoon,
    us ny kaha kia chor k jao gy tm mere pas,
    so me uske dil me apni dharkane chor aya hu,
    pocho nai saqi kia kr aya houn,
    lay k a gia hun jism ko aur jan chor aya hun"

    ReplyDelete
  2. Meri Zindagi tou firaaq hai, woh azal se dil main makeen sahi

    Wo nigah’e_shauq se door hain, rag’e_jaan se lakh qareen sahi

    Hamein jaan dainee hai aik din, wo kisi tarah wo kahin sahi

    Hamein aap khainchiye daar par, jo nahi koi tu hameen sahi

    Sar_e_toor ho sar_e_hasher ho, hamein intizaar qubool hai

    Wo kabhi milein, wo kahin milein, wo kabhi sahi, wo kahin sahi

    Na ho un pe kuch mera bass nahi, k ye aashqi hai hawas nahi

    Mai unhi ka tha, mai unhi ka hoon, wo mere nahi tu nahi sahi

    Mujhe bhaithne ki jaga milay, meri aarzoo ka bharam rahay

    Teri anjuman mein agar nahi,teri anjuman k qareen sahi

    tera dar tau hum ko na mil saka, teri rahguzar ki zameen sahi

    hamain sajda karne se kaam hai, jo wahan nahin tau yahin sahi

    meri zindagi ka naseeb hai nahin door mujh se qareeb hai

    mujhay uska ghum tau naseeb hai wo agar nahin tau nahin sahih

    jo ho faisala wo sunaaiye usay hashr pe na uthaiye

    jo karain gay app sitam wahan wo abhi sahi wo yehin sahi

    Use dekhne ki jo low lagi tu Naseer dekh hi lain gey hum

    Wo hazaar aankh se door ho, wo hazaar pardah nasheen sahi

    ReplyDelete
  3. phir shab-e-gam ne mujhe shakl dikhai kyon kar

    ye bala ghar se nikli hui ai kyon kar

    tu ne ki gair se meri burai kyon kar

    gar na thi dil main to lab par tere ai kyon kar

    tum dilazar-o-sitamgar nahin main ne mana

    man jayegi ise sari khudai kyon kar

    aina dekh k vo kahne lage ap hi ap

    aise achon ki kare koi burai kyon kar

    kasrat-e-ranj-o-alam sun k ye ilzam mila

    itne se dil main hai itnon ki samai kyon kar

    dag kal tak to dua ap ki maqbul na thi

    aj munh mangi murad ap ne pai kyon kar

    ReplyDelete
  4. soz-e-Gham de ke mujhe us ne ye irshaad kiyaa
    jaa tujhe kash-ma-kash-e-dehar se aazaad kiyaa

    vo karen bhii to kin alfaaz men teraa shikvaa
    jin ko terii nigaah-e-lutf ne barbaad kiyaa

    dil kii choTon ne kabhii chain se rehne na diyaa
    jab chalii sard havaa main ne tujhe yaad kiyaa

    aise men main tere taj-takalluf pe nisaar
    phir to farmaaye vafaa aap ne irshaad kiyaa

    is kaa ronaa nahiin kyun tumane kiyaa dil barbaad
    is kaa Gham hai ki bahut der men barbaad kiyaa

    itnaa maasuum huuN fitrat se, kalii jab chaTakii
    jhuk ke main ne kahaa, mujh se kuch irshaad kiyaa

    merii har saaNs hai is baat kii shaahid-e-maut
    main ne har lutf ke mauqe pe tujhe yaad kiyaa

    mujh ko to hosh nahiin tum ko Khabar ho shaayad
    log kehte hain ke tum ne mujhe barbaad kiyaa

    vo tujhe yaad kare jis ne bhulaayaa ho kabhii
    ham ne tujh ko na bhulaayaa na kabhii yaad kiyaa

    kuch nahiin is ke sivaa 'Josh' hariifon kaa kalaam
    vasl ne shaad kiyaa hijr ne naashaad kiyaa

    Josh Malihabadi

    ReplyDelete
  5. Ho mubarik tujhe shadi ki pehli yeh raat
    .
    dua karo k hum b bhool jain teri har baat
    .
    be panah hai tum se hum ko pyar
    .
    woh kehta tha yeh bar bar
    .
    ujarh gaya woh meri zindagi
    .
    woh krte krte yehi bat
    .
    dil nahin lgta ab kahin mera
    .
    be qabu ho gaye hain mere jazbaat
    .
    jb se gaye ho tum ab to din b lagte hain raat
    .
    tum ne chora mera hath
    .
    moun main hi reh gai meri har baat
    .
    kyun thama tha mera hath
    .
    jb chor ke chalay hi jana tha mera sath
    .
    jate jate woh bs itna hi keh gaya
    .
    shayd hamari qismat main hi nhe hamara sath
    .
    suno jaana dua kro k hum b bhool jain teri har baat
    .
    ja sanam mubarik ho tujhe teri shadi ki pehli yeh raat...........

    ReplyDelete